Woh humse guzarish karte hai ki meri in khamosh andaz-e-bayaan ko lafzo ka naam de
Humne toh gumsum si khamoshi unke naam qurbaan bhi kar di
Par ab tak saath nibhati khamoshi ye bardasht bhi kaise karti?
Khamosh lafzo ko samjha hai na samjhega koi kabhi yeh ehsaas toh us nadaan ko malum tha
Raas na aaya yeh mod zindagi ka jo kamabkht khamoshi ne awaaz ko nazar lagayi
Hoth toh humare khulne hi lage the ki parindo ne fadfadake hakikat sunayi
Kamjori hai unki jo woh humare maikhane aate
Do gham bhulake saath rangeen sama lipataye leke jaate
Sau waadein woh karte hai, Sath nibhane ke unche unche khwab dikhate
aur fir khud hi khudko humara mehman batate
llo karlo baat...!
Hum unki taaqat hai, woh humari kamjori kaise ban gaye?
Us darwaaze pe naina tikaye hai jaha roshni ne bhi paigam na pohchaye
Dhun jo gana chahe ye man, uske raag bhi kachche-pakka sa
Jis dil pe aahat dale baithe hai woh dil bhi beimaan dagabaaz sa
Is darwaaze ki khunti nahi hai sarkaar
Jab jazbaat umadh padhe rahega ye khula darbaar
Baarish toh tum aane se baras padi thi jaaneman
Mitti ki khushboo toh bas tera jism jata raha tha
Darr hai pal bitaye yuhi na mit jaaye
Armaan jo jagaaye who mitti aankho mai na dhas jaye..
Puri hai yeh kavita jo tum is dil mai bas jaao
Adhuri ho jaye yeh kahaani jo ruswa ke tum chale jaao!!!!
(original hai bossss....)
Rushali Ramteke,
http://noetic-ingenuity.blogspot.com/
http://rushali.posterous.com/
2 comments:
hey liked it very much .... but surely u can do much better ... best luck
yes.. !! thanks !! i'll try to improve.. !!
why dont u write something yaar.. !! U speak so well.. I would love to read blogs from you.. !!!
Post a Comment